राजस्थान के किसानों को अशोक गहलोत सरकार दे रही 48 हजार रुपए इस योजना का उठाना होगा फायदा
Rajasthan Taarbandi Yojana : Rajsthan ke kisano ko Ashok Gehlot sarkar aavara pashuo se fasal ko bchane ke liye 48 hazar rupee tak Anudan de Rahi hai tarbandi Yojana pahle aao va pahle pao ke aadhar par sanchlit hai
Kai barsho se sanchalit ho Rahi is Yojana me kantedar tar lagana jaruri hai is Yojana me sarkar ki aor se anudan rashi 100 rupee parti metar ke hisab se di jayegi jis Kisan ke pass jitani jamin hogi use utna hi Anudan milega anudan ki antim seema 40 hazar rupee hogi
Tarbandi Yojana ke liye patrta
Vykitgat/samuhik Kisan Ko Anudan -
1. Tarbandi ke liye vykitgat kisan ya samuhik Kisan ke pass kam se kam honi chahie 1.50 hektar kurshi bhumi
2. Partyek kisan ko abhikatam 400 ragig meter Tak (400 ranig meter se kam hone par Prorata Basis par Anudan dey hai) Dey hoga Anudan
3. Tarbandi kary lagat ka 50% ya adhiktam 40,000/-ya chhote kisan (lagu v seemant shreni) ko 48000/- prati kushak dey hogi Anudan
4. Peraferi ki lambai 400 meter se adhik hone par kushak dvara svayam ke star par tarbandi ki jayegi (samuhik Kisan ka samuh jisme do ya do se adhik kisan sammlit hokar tarbandi karva sakte hai)
Yojana ke labh
Is yojana ke madhyam se kisan apne khet aavara pashuo se rakh sakege surkshit
Sarkar dwara 50% ka anudan dene se Kisano ke kheto ke charo aor km kharch se ho jayegi tarbandi
Is yojana ke tahat kisan me apne khet ke parti badhegi ruchi
Ab Garib Kisan bhi Apne khet ke charo aor kar sakega tarbandi
Tarbandi ke liye online aavedan
Rajsthan tarbandi Yojana ke liye sabse pahle official website https://rajkisan.rajasthan.gov.in/ par jae
Open karne ke baad aapko tarbandi Yojana ka dikhai dega Application form
Application form ko Download kar usme puchi gai jankari bharkar form ko karna hoga jama is tarah online form bhar sakte hai
Aap apne najdiki E-Mitra ki sahayta se bhi form bharva sakte hai
Tarbandi ke liye ofline aavedan
Issme ofline aavedan bhi kar sakte hai iske liye najdiki suvidha kendr me aavedan kar sakte hai
Tarbandi ka form bharna aur aavshyak dastavejon ki photo copy lagani hogi
Iske sath mobile number bhi dena hoga jisme aapko jankari di ja sake
Tarbandi yojana hetu aavshyak dastavejon
1. Jan aadhaar card number dena aavshyak hai
2. Jamin ki jmmabandi ki nakl (jo 6 mah se adhik purani na ho)
3. Lghu/ seemant sheni ka Kisan hone par laghu/seemant parman patr
टिप्पणियाँ