Best Life Changing Motivational Shayari in Hindi 2024 | प्रेरणादायक शायरी जो जीत दिला दे
Uth kar chalna hi teri fitrat honi chahiye,
Girna to sirf ek mauka hai phir se sambhalne ka.
— Shayari King Official
Zindagi ki raahon mein jab kabhi hausla tootne lage, toh ye shayariyan aapke andar naya josh bhar dengi. Mehnat aur khud par vishwas hi safalta ki kunji hai.
1. Zameer ki roshni ko kabhi bujhne mat dena, tufaano mein bhi aksar diye jalte dekhe hain maine.
2. Manzil mile na mile ye to muqaddar ki baat hai, par hum koshish hi na karein ye to galat baat hai.
3. Hausle ke tarkash mein koshish ka wo teer zinda rakh, haar ja chahe zindagi mein sab kuch, magar phir se jeetne ki umeed zinda rakh.
4. Waqt se ladkar jo naseeb badal de, insaan wahi jo apni taqdeer badal de, kal kya hoga kabhi mat socho, kya pata kal waqt khud apni tasveer badal de.
5. Parindo ko manzil milegi yaqeenan, ye faile hue unke par bolte hain, woh log khamosh rehte hain aksar, zamane mein jinke hunar bolte hain.
टिप्पणियाँ